So, here goes a list of some cliched dialogues of Hindi cinema.
- Bhagwan ke ghar der hain andher nahin
- Maa...main first class first aaya hoon
- Beta, maine tumhare liye gajar ka halwa banaya hain
- Main tumhare bachche ki maa banane wali hoon
- Bahar hi khade rahoge ya andar bhi aaoge
- Main ______ ko aapke paas apni amanat samajhke chodke jaa raha hoon
- Jug jug jiyo beta...bhagwan kare tumhe mere bhi umar lag jaye
- Ab inhe dava ki nahi dua ki jaroorat hain
- Kanoon ke haath bahut lambe hote hain
- Agar tune maa ka doodh piya hain toh saamne aaa
- Bachaooooooo....
- Khamoshhhhh
- Yeh tumhara judwa bhai hain jo bachpan mein kumbh ke mele mein bichad gaya tha
- Tumne mujhe dhoka diya hain...main tumhe kabhi maaf nahi karoongi
- Bhagwan jab deta hain to chappar faad ke deta hain
- Uparwale pe bharosa rakho
- Main tumhare bina jee nahi sakta...
- Mujhe kuch der ke liye akela chod do...
- Yeh dhamki nahi...chetavni hain...
- Mera waqt aa gaya hain....tum apne chote bhai/behen ka khayal rakhna
- Aaj tumhari maa/pitaji zinda hote toh unhe tumpar naaz hota
- Agar tum meri nahin hui toh kisi aur ki nahi ho sakti...
- Kalmoohiii....Tuney biradari mein hamari naak kata di...hume kahin ka nahi choda
- Mubarak ho...ladka hua hain
- Mubarak ho...aapke ghar chand jaisi beti aayi hain
- ______ ko hosh aa gaya hain...ab aap unse mil sakte hain
- Hum maa aur bachche mein se sirf ek ko bacha sakte hain
- Dhyan rakhna...inka dil bahut kamjor hain...inhe koi sadma nahi pahunche
- Mere dil mein ched/suraag hain
- Yeh adaalat ki tauheen hain
- Apni zabaan ko lagaam do
- Naheeeeeeeee
- Chodo mera haath....
- Chodo mera haath.....aaaaa.....you are hurting me (this is the modern day version of #33)
- Tum jis school mein padhte they hum uske principal reh chuke hain
- Kuch aisa karo ki saap bhi mar jaye aur laathi bhi na toote
- Tumne hamare khandan ka naam mitti mein mila diya
- _____ karne se pehle tumhe meri laash per se gujarna hoga
- Main _____ karke rahoonga.....rok sako toh rok lo
- Yeh sunane se pehle mere kaan kyu nahi fat gaye
- Hey bhagwan...yeh din dekhne se pehle yeh dharti kyu nahi fat gaye?
- Kya yehi din dekhne ke liye maine tujhe paal-pos ke bada kiya tha
- Tujhe meri kasam hain
- Apne aadmiyon se kahon apne hathyar fek de
- Yeh tumhe bahut mehenga padega...
- Aage aage dekho hota hain kya
- Sapno ki duniya se bahar aao
- Sach ki hamesha jeet hoti hain
- Maine aapka namak khaya hain
- Mehmaan bhagwan ka roop hote hain...
- Sharam aani chahiye tumhe...
- Tumhe chullu bhar paani mein doob marna chahiye
- Bhagwan tera lakh lakh shukar hain
- Duniya ki koi bhi takat hum dono ko juda nahi kar sakti
- Ghee agar seedhi ungli se nahi nikla toh ungli tedhi karni padti hain
This list of "Ghise-peete Repeate" dialogues seems to be going on forever. In short, these lines are the basis of our movies and inke bina hamari hindi filme adhoori hain.
1 comment:
hahahahahahhah......Lolzzz........ :D
Post a Comment